Kehti hai mujhe Zindagi
Ki Mai aadat badal Lu..
Bohot chala Main logo ke piche
Ab thoda khud ke Saath chal Lu
Sunta raha Mai logon ki hamesha
Ab jara khud ki bhi sun Lu
Jo bhi hoga Woh Dekha Jayega
Pehle koi ek pyaara sa khwaab to bun Lu
Kehti hai mujhe Zindagi ki ..
Mai aadat badal Lu
Tu aadat Nahi Zindagi hai meri
Kaise tujhe Mai badal Lu...
Mere Ragoo Mai tu lohu bankar
Daur rahi hai ,Mai khud ko bhitar se
Kaise Nikal du..
Jo hai tumahara Saath ..
To Kuch khwahis pura Kar Lu
Ho Kar beparwah,tham kr tera haath
Kuch kadam Saath chal Lu...
Bohot vatka Mai akelepan ki
Un galiyon Mai
Kyu na raaste Zindagi pakad Lu
Yeh Jo berang si ban gayi hai duniya meri
Isme thoda rang Bhar Lu..
Chura Kar mutthi var indradhanush
Se ab ise thoda rangin Kar Lu...
Kehti hai duniya mujhe
Ki Mai aadatein badal Lu ,
Thoda gir Lu..thoda samval Lu
Thoda behek Lu aur thoda ji Lu
Chal Zindagi tujhe mohabbat
Mai badal Lu..
Your poem is great 👍
but try to change paragraphs in middle and use commas and semicolons for better presentation 🙂